hazar bar wo baiTha hazar bar uTha
hazār baar vo baiThā hazār baar uThā
bachā na shahr meñ kuchh bhī to chobdār uThā
azal se rā-navardī jo thī vo ab bhī hai
abhī chhaTā thā abhī raah meñ ġhubār uThā
nafas ke taar kī girheñ ki kā.enāt ke ḳham
sarāb dil meñ thā sahrā ke ār-pār uThā
ḳhamoshiyoñ ke takallum ko pūjne vaalā
vahī thā bazm meñ āḳhir gunāhgār uThā
vo saath thā to muqaddas the mere saare hurūf
bichhaḌ gayā hai to lafzoñ kā e'tibār uThā
hazar bar wo baiTha hazar bar uTha
bacha na shahr mein kuchh bhi to chobdar uTha
azal se ra-nawardi jo thi wo ab bhi hai
abhi chhaTa tha abhi rah mein ghubar uTha
nafas ke tar ki girhen ki kaenat ke KHam
sarab dil mein tha sahra ke aar-par uTha
KHamoshiyon ke takallum ko pujne wala
wahi tha bazm mein aaKHir gunahgar uTha
wo sath tha to muqaddas the mere sare huruf
bichhaD gaya hai to lafzon ka e'tibar uTha
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 588)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.