hazar chaha lagaen kisi se dil lekin
hazār chāhā lagā.eñ kisī se dil lekin
bichhaḌ ke tujh se tire shahr meñ rahā na gayā
kabhī ye soch ke ro.e ki mil sake taskīñ
magar jo rone pe aa.e to phir hañsā na gayā
kabhī to bhuul ga.e pī ke naam tak un kā
kabhī vo yaad jo aa.e to phir piyā na gayā
sunāyā karte the dil ko hikāyat-e-daurāñ
magar jo dil ne kahā ham se vo sunā na gayā
samajh meñ aane lagā jab fasāna-e-hastī
kisī se hāl-e-dil-e-zār phir kahā na gayā
hazar chaha lagaen kisi se dil lekin
bichhaD ke tujh se tere shahr mein raha na gaya
kabhi ye soch ke roe ki mil sake taskin
magar jo rone pe aae to phir hansa na gaya
kabhi to bhul gae pi ke nam tak un ka
kabhi wo yaad jo aae to phir piya na gaya
sunaya karte the dil ko hikayat-e-dauran
magar jo dil ne kaha hum se wo suna na gaya
samajh mein aane laga jab fasana-e-hasti
kisi se haal-e-dil-e-zar phir kaha na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.