hazar-haif mohabbat mein kuchh maza na mila
hazār-haif mohabbat meñ kuchh mazā na milā
ki dard-e-dil to milā dard-āshnā na milā
jo mere haal ko bilkul mirī tarah samjhe
tamām umr huī ek āshnā na milā
lagā.ī aas bahut tujh se tere sar kī qasam
ḳhamosh ho rahe jab koī aasrā na milā
tū hī batā ki kidhar jaa.eñ tere dīvāne
haram meñ dair meñ terā kahīñ patā na milā
haram kī ḳhaak bhī ham ne bahut uḌā dekhī
ḳhudā to ḳhair koī mard bā-ḳhudā na milā
ye kyā ki us ko jo paayā to phir hamīñ na rahe
milā jo yuuñ to barābar hai vo milā na milā
havas-pasand tabī.at ne kī bahut tadbīr
magar navishta-e-taqdīr se sivā na milā
mujhe jahān meñ jitne bhī bā-kamāl mile
fareb-kār mile koī be-riyā na milā
jo madrasa meñ na thā koī vā.iz-e-rangīñ
to mai-kade meñ koī rind-e-pārsā na milā
ye rang dekh ke duniyā kā rāhbar apnā
banā maiñ aap mujhe koī rahnumā na milā
hazar-haif mohabbat mein kuchh maza na mila
ki dard-e-dil to mila dard-ashna na mila
jo mere haal ko bilkul meri tarah samjhe
tamam umr hui ek aashna na mila
lagai aas bahut tujh se tere sar ki qasam
KHamosh ho rahe jab koi aasra na mila
tu hi bata ki kidhar jaen tere diwane
haram mein dair mein tera kahin pata na mila
haram ki KHak bhi hum ne bahut uDa dekhi
KHuda to KHair koi mard ba-KHuda na mila
ye kya ki us ko jo paya to phir hamin na rahe
mila jo yun to barabar hai wo mila na mila
hawas-pasand tabiat ne ki bahut tadbir
magar nawishta-e-taqdir se siwa na mila
mujhe jahan mein jitne bhi ba-kamal mile
fareb-kar mile koi be-riya na mila
jo madrasa mein na tha koi waiz-e-rangin
to mai-kade mein koi rind-e-parsa na mila
ye rang dekh ke duniya ka rahbar apna
bana main aap mujhe koi rahnuma na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.