hazar qisse sunata raha gilas ka rang
hazār qisse sunātā rahā gilās kā rang
miTā sakā na magar mere lab se pyaas kā rang
dar-e-yaqīñ pe musalsal gumāñ kī dastak hai
ubhar na jaa.e kahīñ ek din qayās kā rang
asar ko chāhiye kuchh aur 'ājizī shāyad
mirī du'āoñ meñ shāmil hai iltimās kā rang
chaman meñ zard rutoñ ke nuqūsh raushan haiñ
chamak rahā hai magar kyāriyoñ meñ ghaas kā rang
javāz kuchh bhī nahīñ ab pa.e-shumār-e-nafas
koī umiid kī ḳhushbū na koī yaas kā rang
hazar qisse sunata raha gilas ka rang
miTa saka na magar mere lab se pyas ka rang
dar-e-yaqin pe musalsal guman ki dastak hai
ubhar na jae kahin ek din qayas ka rang
asar ko chahiye kuchh aur 'ajizi shayad
meri du'aon mein shamil hai iltimas ka rang
chaman mein zard ruton ke nuqush raushan hain
chamak raha hai magar kyariyon mein ghas ka rang
jawaz kuchh bhi nahin ab pae-shumar-e-nafas
koi umid ki KHushbu na koi yas ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.