hazar ranj ho dil lakh dard-mand rahe
hazār ranj ho dil laakh dard-mand rahe
ḳhayāl past na ho hausla buland rahe
ġham-e-firāq meñ dil kyuuñ na dard-mand rahe
bahār aa ke ga.ī ham qafas meñ band rahe
ḳhudā kī yaad meñ duniyā ko bhuul jā ai dil
vo kaam kar ki har ik tarf sūd-mand rahe
mile ki kuchh na mile māñgne se kaam rakhūñ
tirī janāb meñ dast-e-du'ā buland rahe
dikhā.īñ gardish-e-daurāñ ne sūrateñ kyā kyā
magar mujhe to akele tumhīñ pasand rahe
ġhurūr-e-husn unheñ inkisār-e-sheva-e-ishq
vo be-niyāz rahe ham niyāz-mand rahe
janāb-e-shaiḳh bhī 'maḳhmūr' shab ko rindoñ meñ
'ajīb haal se masrūf-e-va.az-o-pand rahe
hazar ranj ho dil lakh dard-mand rahe
KHayal past na ho hausla buland rahe
gham-e-firaq mein dil kyun na dard-mand rahe
bahaar aa ke gai hum qafas mein band rahe
KHuda ki yaad mein duniya ko bhul ja ai dil
wo kaam kar ki har ek tarf sud-mand rahe
mile ki kuchh na mile mangne se kaam rakhun
teri janab mein dast-e-du'a buland rahe
dikhain gardish-e-dauran ne suraten kya kya
magar mujhe to akele tumhin pasand rahe
ghurur-e-husn unhen inkisar-e-shewa-e-ishq
wo be-niyaz rahe hum niyaz-mand rahe
janab-e-shaiKH bhi 'maKHmur' shab ko rindon mein
'ajib haal se masruf-e-waz-o-pand rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.