hazār shukr ki andesha-e-ma.āl gayā
koī kisī se jo kahne ko dil kā haal gayā
kahāñ kahāñ nahīñ donoñ ko dastaras hāsil
vahīñ nigāh bhī pahuñchī jahāñ ḳhayāl gayā
javāb meñ na khuleñ lab to kyā ‘ilāj us kā
hañsī hañsī meñ koī merī baat Taal gayā
'ajab thiiñ falsafī-e-nā-murād kī bāteñ
yaqīñ ke saath mire dil meñ shak bhī Daal gayā
qadam qadam pe hue hosh gum 'munavvar' ke
talāsh-e-dost kā saudā gayā ḳhayāl gayā
hazar shukr ki andesha-e-maal gaya
koi kisi se jo kahne ko dil ka haal gaya
kahan kahan nahin donon ko dastaras hasil
wahin nigah bhi pahunchi jahan KHayal gaya
jawab mein na khulen lab to kya ‘ilaj us ka
hansi hansi mein koi meri baat Tal gaya
'ajab thin falsafi-e-na-murad ki baaten
yaqin ke sath mere dil mein shak bhi Dal gaya
qadam qadam pe hue hosh gum 'munawwar' ke
talash-e-dost ka sauda gaya KHayal gaya
Source :
- Book : sheerazah (Pg. 24)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
-
Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6
(1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.