hazar TuTe hue zawiyon mein baiThi hun
hazār TuuTe hue zāviyoñ meñ baiThī huuñ
ḳhayāl o ḳhvāb kī parchhā.iyoñ meñ baiThī huuñ
tumhārī aas kī chādar se muñh chhupā.e hue
pukārtī huī rusvā.iyoñ meñ baiThī huuñ
har ek samt sadā.eñ haiñ chup chaTaḳhne kī
ḳhalā meñ chīḳhtī tanhā.iyoñ meñ baiThī huuñ
nigāh o dil meñ ugī dhuup ko bujhātī huī
tumhāre hijr kī rānā.iyoñ meñ baiThī huuñ
junūn-e-vasl tamāshe dikhā gayā itne
maiñ aap apne tamāshā.iyoñ meñ baiThī huuñ
hazar TuTe hue zawiyon mein baiThi hun
KHayal o KHwab ki parchhaiyon mein baiThi hun
tumhaari aas ki chadar se munh chhupae hue
pukarti hui ruswaiyon mein baiThi hun
har ek samt sadaen hain chup chaTaKHne ki
KHala mein chiKHti tanhaiyon mein baiThi hun
nigah o dil mein ugi dhup ko bujhati hui
tumhaare hijr ki ranaiyon mein baiThi hun
junun-e-wasl tamashe dikha gaya itne
main aap apne tamashaiyon mein baiThi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.