hazar zulm sahe aur malal bhi na kare
hazār zulm sahe aur malāl bhī na kare
ye hukm hai ki re'āyā savāl bhī na kare
amīr-e-shahr kā farmān hai ki zabt karo
vo ghar jalā de to koī vabāl bhī na kare
ḳhudā se aisī masāfat na maañg ai nādāñ
ki jo thakan bhī na de aur nidhāl bhī na kare
use maiñ dost nahīñ dushmanoñ meñ gintā huuñ
jo tark kar ke ta'alluq bahāl bhī na kare
hazar zulm sahe aur malal bhi na kare
ye hukm hai ki re'aya sawal bhi na kare
amir-e-shahr ka farman hai ki zabt karo
wo ghar jala de to koi wabaal bhi na kare
KHuda se aisi masafat na mang ai nadan
ki jo thakan bhi na de aur nidhaal bhi na kare
use main dost nahin dushmanon mein ginta hun
jo tark kar ke ta'alluq bahaal bhi na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.