Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazaron ranj-o-gham de kar KHushi ki baat karte hain

Maqbool Ahmad Maqbool

hazaron ranj-o-gham de kar KHushi ki baat karte hain

Maqbool Ahmad Maqbool

MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool

    hazāroñ ranj-o-ġham de kar ḳhushī baat karte haiñ

    hai ḳhanjar āstīñ meñ dostī baat karte haiñ

    paḌeñ chhāle zabāñ par ġhair jo naam bhī le leñ

    ki ham to aap ke haiñ aap baat karte haiñ

    samajh meñ kuchh nahīñ aatā haiñ dīvāne ki farzāne

    ḳhudī meñ rahe haiñ be-ḳhudī baat karte haiñ

    koī ham na hogā pyaar maarā zamāne meñ

    samundar chuke aur tishnagī baat karte haiñ

    jo ḳhud vāqif nahīñ haiñ zindagānī haqīqat se

    vahī ham se usūl-e-zindagī baat karte haiñ

    junūñ-parvarda logoñ meñ junūñ baat hotī hai

    ḳhirad ke pāsbāñ to āgahī baat karte haiñ

    kiyā karte haiñ murda-dil hamesha maut bāteñ

    jo zinda-dil haiñ vo to zindagī baat karte haiñ

    hazaron ranj-o-gham de kar KHushi ki baat karte hain

    hai KHanjar aastin mein dosti ki baat karte hain

    paDen chhaale zaban par ghair ka jo nam bhi le len

    ki hum to aap ke hain aap hi ki baat karte hain

    samajh mein kuchh nahin aata hain diwane ki farzane

    KHudi mein ji rahe hain be-KHudi ki baat karte hain

    koi hum sa na hoga pyar ka mara zamane mein

    samundar pi chuke aur tishnagi ki baat karte hain

    jo KHud waqif nahin hain zindagani ki haqiqat se

    wahi hum se usul-e-zindagi ki baat karte hain

    junun-parwarda logon mein junun ki baat hoti hai

    KHirad ke pasban to aagahi ki baat karte hain

    kiya karte hain murda-dil hamesha maut ki baaten

    jo zinda-dil hain wo to zindagi ki baat karte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now