hazrat-e-dil jo kisi miss ke hawale hote
hazrat-e-dil jo kisī miss ke havāle hote
jitne gore haiñ muqarrar mire saale hote
ghar se bāhar jo qadam tum ne nikāle hote
jam.a das biis abhī chāhne vaale hote
dasht-e-ulfat meñ jo motor kī savārī hotī
ġhair mumkin thā mire paañv meñ chhāle hote
rishta ulfat kā kisī tarah na qaa.em hotā
maiñ ne Dore na agar aap pe Daale hote
laala sāhib ne shab-e-vasl ye mohrī se kahā
tū na aatī to mirī jaan ke laale hote
qais tū tesha-zanī kartā jo misl-e-farhād
paañv kī tarah tire haath meñ chhāle hote
dastaras hotā hamārā jo sin-e-kamsin par
paañv bāhar na kalīsā ke nikāle hote
shaiḳh us rang se badmast hue pī ke sharāb
gir hī paḌte jo unheñ ham na sañbhāle hote
hazrat-e-dil jo kisi miss ke hawale hote
jitne gore hain muqarrar mere sale hote
ghar se bahar jo qadam tum ne nikale hote
jama das bis abhi chahne wale hote
dasht-e-ulfat mein jo motor ki sawari hoti
ghair mumkin tha mere panw mein chhaale hote
rishta ulfat ka kisi tarah na qaem hota
main ne Dore na agar aap pe Dale hote
lala sahib ne shab-e-wasl ye mohri se kaha
tu na aati to meri jaan ke lale hote
qais tu tesha-zani karta jo misl-e-farhad
panw ki tarah tere hath mein chhaale hote
dastaras hota hamara jo sin-e-kamsin par
panw bahar na kalisa ke nikale hote
shaiKH us rang se badmast hue pi ke sharab
gir hi paDte jo unhen hum na sanbhaale hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.