hiddat-o-habs pe tanqid nahin kar sakte
hiddat-o-habs pe tanqīd nahīñ kar sakte
kyoñ ham aisā mire ḳhurshīd nahīñ kar sakte
karnī paḌ jaa.e vazāhat pe vazāhat lekin
ham tirī baat kī tardīd nahīñ kar sakte
jab tirā sāmnā hotā hai to ai sehr-jamāl
'arz kar sakte haiñ tākīd nahīñ kar sakte
misl-e-aurāq-e-pareshāñ hai kitāb-e-hastī
nusḳha-e-dard kī tasvīd nahīñ kar sakte
jo mohabbat kī haqīqat se kareñ sarf-e-nazar
vo kabhī 'ahd kī tajdīd nahīñ kar sakte
zahr piinā to baḌī duur kā qissa hai 'munīr'
log sachchā.ī kī tā.īd nahīñ kar sakte
hiddat-o-habs pe tanqid nahin kar sakte
kyon hum aisa mere KHurshid nahin kar sakte
karni paD jae wazahat pe wazahat lekin
hum teri baat ki tardid nahin kar sakte
jab tera samna hota hai to ai sehr-jamal
'arz kar sakte hain takid nahin kar sakte
misl-e-auraq-e-pareshan hai kitab-e-hasti
nusKHa-e-dard ki taswid nahin kar sakte
jo mohabbat ki haqiqat se karen sarf-e-nazar
wo kabhi 'ahd ki tajdid nahin kar sakte
zahr pina to baDi dur ka qissa hai 'munir'
log sachchai ki taid nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.