hila hai hawala hai
hiila hai havāla hai
ye ishq nirālā hai
shikva bhī shikāyat bhī
sab pyaar kī maalā hai
socho to faqat sūraj
samjho to ujālā hai
hai yaad vahī azbar
jo bhūlne vaalā hai
bichhḌe hue sāthī haiñ
aur paañv meñ chhālā hai
hālāt bhī pas-murda
hoñToñ pe bhī taalā hai
ā.īna tan-e-tanhā
sach bolne vaalā hai
yāroñ kī mohabbat ne
'ash.had' ko sambhālā hai
hila hai hawala hai
ye ishq nirala hai
shikwa bhi shikayat bhi
sab pyar ki mala hai
socho to faqat suraj
samjho to ujala hai
hai yaad wahi azbar
jo bhulne wala hai
bichhDe hue sathi hain
aur panw mein chhaala hai
haalat bhi pas-murda
honTon pe bhi tala hai
aaina tan-e-tanha
sach bolne wala hai
yaron ki mohabbat ne
'ashhad' ko sambhaala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.