hijab-e-ganj-e-maKHfi mein nihan the
hijāb-e-ganj-e-maḳhfī meñ nihāñ the
ilāhī ham kahāñ aa.e kahāñ the
kisī ne bhī na dekhā ham jahāñ the
badan the ḳhalq ham mānind-e-jāñ the
basān-e-nāla sar khīñchā hai bāhar
ham ahl-e-dard ke dil meñ nihāñ the
nikālā karte the bāloñ kī khāleñ
kabhī ham bhī ḳhayāl-e-shā.irāñ the
rahe raste meñ qadmoñ se chipat kar
magar ham naqsh-e-pā-e-raftagāñ the
jab us kūche kī hāsil thī gadā.ī
ḳhudā-vand-e-zamīn-o-āsmāñ the
hue zāhir basān-e-nūr-e-bātin
dil-e-arbāb dil meñ ham nihāñ the
tire kūche meñ jab chalnā paḌā thā
basān-e-ashk āñkhoñ se ravāñ the
kuchh aise nashsha-e-hastī se bahke
nahīñ jaanā kahāñ aa.e kahāñ the
sarāpā dard the mānind-e-dil ham
maraz the par nasīb-e-dostāñ the
kahāñ baat us kī ulfat kī kahāñ dil
ye dirham ganj-e-maḳhfī meñ nihāñ the
na dauḌe juz sivā.e kūcha-e-yār
magar ham bhī ḳhayāl-e-dostāñ the
na kyuuñ sayyād vaqt-e-marg aatā
ki ham bāġh-e-jahāñ meñ murġh-e-jāñ the
na hargiz bazm-e-sāqī meñ ruke ham
magar daur-e-sharāb-e-arġhavāñ the
hamā.il the gulū-e-duḳht-e-raz meñ
ke ham dast-e-ḳhayāl-e-maikashāñ the
rahī rātoñ ko aksar sair-e-aflāk
magar ham tīr-e-āh-e-be-kasāñ the
kahāñ Daalā ḳhalal wasl-e-adūain
gajar hī the na ham bāñg-e-azāñ the
bahār-e-bāġh hastī thī hamīñ se
nazar se go ba-rañg-e-bū nihāñ the
ayaañ aise ke har shai meñ nihāñ ham
nihāñ aise ki har shai se ayaañ the
na thā māshūq jis meñ ġhair-e-āshiq
ajab ḳhalvat thī vo bhī ham jahāñ the
uThe ham uTh gayā pardā duī kā
hamāre us ke bas ham darmiyāñ the
chaleñ zer-e-zamīñ be bāl-o-par aaj
kabhī ham tā.ir-e-arsh-āshiyāñ the
na shukr us kā kiyā talvār khā kar
ki zaḳhm apne dahān-e-be zabāñ the
kuchh aisī thī shab-e-ġham kī chaḌhā.ī
ki naale sham.a-e-bazm-e-lamākāñ the
ga.e vo din ke har-dam ye jigar dil
lahū ban ban ke āñkhoñ se ravāñ the
na rahte the Thikāne ek saa.at
kabhī ham bhī havās-e-āshiqāñ the
gulistān-e-jahāñ meñ kaun Thahrā
jo sarv aa.e nazar sarv-e-ravāñ the
ḳhudā ne un ko pahuñchāyā hadaf tak
ḳhadañg-e-āh tīr-e-be-kamāñ the
jo us mahfil meñ ham jaane bhī paa.e
piyā-pe aañsū āñkhoñ se ravāñ the
na niklī baat muñh se sūr-e-sham.a
zabān aisī thī goyā be-zabāñ the
mere pahlū meñ kal baiThe the aasī
magar jab tak the misl-e-dil tapāñ the
hijab-e-ganj-e-maKHfi mein nihan the
ilahi hum kahan aae kahan the
kisi ne bhi na dekha hum jahan the
badan the KHalq hum manind-e-jaan the
basan-e-nala sar khincha hai bahar
hum ahl-e-dard ke dil mein nihan the
nikala karte the baalon ki khaalen
kabhi hum bhi KHayal-e-shairan the
rahe raste mein qadmon se chipat kar
magar hum naqsh-e-pa-e-raftagan the
jab us kuche ki hasil thi gadai
KHuda-wand-e-zamin-o-asman the
hue zahir basan-e-nur-e-baatin
dil-e-arbab dil mein hum nihan the
tere kuche mein jab chalna paDa tha
basan-e-ashk aankhon se rawan the
kuchh aise nashsha-e-hasti se bahke
nahin jaana kahan aae kahan the
sarapa dard the manind-e-dil hum
maraz the par nasib-e-dostan the
kahan baat us ki ulfat ki kahan dil
ye dirham ganj-e-maKHfi mein nihan the
na dauDe juz siwae kucha-e-yar
magar hum bhi KHayal-e-dostan the
na kyun sayyaad waqt-e-marg aata
ki hum bagh-e-jahan mein murgh-e-jaan the
na hargiz bazm-e-saqi mein ruke hum
magar daur-e-sharab-e-arghawan the
hamail the gulu-e-duKHt-e-raz mein
ke hum dast-e-KHayal-e-maikashan the
rahi raaton ko aksar sair-e-aflak
magar hum tir-e-ah-e-be-kasan the
kahan Dala KHalal wasl-e-aduain
gajar hi the na hum bang-e-azan the
bahaar-e-bagh hasti thi hamin se
nazar se go ba-rang-e-bu nihan the
ayan aise ke har shai mein nihan hum
nihan aise ki har shai se ayan the
na tha mashuq jis mein ghair-e-ashiq
ajab KHalwat thi wo bhi hum jahan the
uThe hum uTh gaya parda dui ka
hamare us ke bas hum darmiyan the
chalen zer-e-zamin be baal-o-par aaj
kabhi hum tair-e-arsh-ashiyan the
na shukr us ka kiya talwar kha kar
ki zaKHm apne dahan-e-be zaban the
kuchh aisi thi shab-e-gham ki chaDhai
ki nale shama-e-bazm-e-lamakan the
gae wo din ke har-dam ye jigar dil
lahu ban ban ke aankhon se rawan the
na rahte the Thikane ek saat
kabhi hum bhi hawas-e-ashiqan the
gulistan-e-jahan mein kaun Thahra
jo sarw aae nazar sarw-e-rawan the
KHuda ne un ko pahunchaya hadaf tak
KHadang-e-ah tir-e-be-kaman the
jo us mahfil mein hum jaane bhi pae
piya-pe aansu aankhon se rawan the
na nikli baat munh se sur-e-shama
zaban aisi thi goya be-zaban the
mere pahlu mein kal baiThe the aasi
magar jab tak the misl-e-dil tapan the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.