hijab-e-zahir-o-baatin bhi darmiyan mein nahin
hijāb-e-zāhir-o-bātin bhī darmiyāñ meñ nahīñ
ab imtiyāz koī mere jism-o-jāñ meñ nahīñ
bharī bahār meñ ab ke ye mājrā kyā hai
ki jumbish aaj koī shāḳh-e-āshiyāñ meñ nahīñ
nazar fareb na ho sehr-e-rañg-o-bū to yahāñ
vo kyā bahār hai jo parda-e-ḳhizāñ meñ nahīñ
musāfirān-e-adam kā nishāñ kahāñ DhūñDeñ
kahīñ ġhubār bhī us rāh-e-kārvāñ meñ nahīñ
nazar se ‘vahshī’-e-ḳhasta ke dekhiye to yahāñ
sivā.e dasht ke kuchh aur gulsitāñ meñ nahīñ
hijab-e-zahir-o-baatin bhi darmiyan mein nahin
ab imtiyaz koi mere jism-o-jaan mein nahin
bhari bahaar mein ab ke ye majra kya hai
ki jumbish aaj koi shaKH-e-ashiyan mein nahin
nazar fareb na ho sehr-e-rang-o-bu to yahan
wo kya bahaar hai jo parda-e-KHizan mein nahin
musafiran-e-adam ka nishan kahan DhunDen
kahin ghubar bhi us rah-e-karwan mein nahin
nazar se ‘wahshi’-e-KHasta ke dekhiye to yahan
siwae dasht ke kuchh aur gulsitan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.