hijab hum the hamin se hijab ho ke raha
hijab hum the hamin se hijab ho ke raha
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
hijāb ham the hamīñ se hijāb ho ke rahā
hamārā shauq kisī kā naqāb ho ke rahā
kamāl-e-ishq ne jis dil ko intiḳhāb kiyā
nigāh-e-husn meñ vo intiḳhāb ho ke rahā
nazar nazar ruḳh-e-sāqī se faizyāb huī
nafas nafas ko surūr-e-sharāb ho ke rahā
maze mile tire dar par vo jab.ha-sā.ī ke
maiñ be-niyāz-e-azāb-o-savāb ho ke rahā
jinheñ thā rashk unheñ ham pe rahm aatā hai
ḳhudā kī shaan ye kyā inqalāb ho ke rahā
uḌā uḌā sā idhar rang udhar jhukī sī nazar
ajab adā se savāl-o-javāb ho ke rahā
kamāl-e-ishq ke andāz dekhnā to 'bashīr'
vajūd-e-bahr meñ shāmil habāb ho ke rahā
hijab hum the hamin se hijab ho ke raha
hamara shauq kisi ka naqab ho ke raha
kamal-e-ishq ne jis dil ko intiKHab kiya
nigah-e-husn mein wo intiKHab ho ke raha
nazar nazar ruKH-e-saqi se faizyab hui
nafas nafas ko surur-e-sharab ho ke raha
maze mile tere dar par wo jabha-sai ke
main be-niyaz-e-azab-o-sawab ho ke raha
jinhen tha rashk unhen hum pe rahm aata hai
KHuda ki shan ye kya inqalab ho ke raha
uDa uDa sa idhar rang udhar jhuki si nazar
ajab ada se sawal-o-jawab ho ke raha
kamal-e-ishq ke andaz dekhna to 'bashir'
wajud-e-bahr mein shamil habab ho ke raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.