hijr imkan hoga batate hue
hijr imkān hogā batāte hue
ro paḌe ham nazar ko jhukāte hue
un se vābastagī kā hai aisā asar
mar hī jā.eñge ulfat nibhāte hue
jiite jī gar nahīñ maut par hī sahī
un kā kāñdhā ho mayyat uThāte hue
dil ke pannoñ pe kitnī rubā’ī likhī
ashk ko raushnā.ī banāte hue
'umr saarī 'ināyat' kī guzregī ab
naam un kā hī likhte miTāte hue
hijr imkan hoga batate hue
ro paDe hum nazar ko jhukate hue
un se wabastagi ka hai aisa asar
mar hi jaenge ulfat nibhate hue
jite ji gar nahin maut par hi sahi
un ka kandha ho mayyat uThate hue
dil ke pannon pe kitni ruba’i likhi
ashk ko raushnai banate hue
'umr sari 'inayat' ki guzregi ab
nam un ka hi likhte miTate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.