hijr ka aaina na ho jaana
hijr kā aa.ina na ho jaanā
ḳhud se mil kar judā na ho jaanā
mujh ko sach bolne kī 'ādat hai
dost mujh se ḳhafā na ho jaanā
jab koī rāsta na de tum ko
apnī jānib ravāna ho jaanā
ehtimāman bashar na ho sake to
intiqāman ḳhudā na ho jaanā
sil ko siine meñ kaun rakhtā hai
dil kā ham-qāfiya na ho jaanā
qafas-e-‘ishq hai ye jail nahīñ
qaidiyo tum rihā na ho jaanā
aañkh khulte hī sub.h dhulte hī
ḳhvāb kā be-Thikāna ho jaanā
gar zamāna na mil sake 'zahrāb'
tum ḳhud apnā zamāna ho jaanā
hijr ka aaina na ho jaana
KHud se mil kar juda na ho jaana
mujh ko sach bolne ki 'adat hai
dost mujh se KHafa na ho jaana
jab koi rasta na de tum ko
apni jaanib rawana ho jaana
ehtimaman bashar na ho sake to
intiqaman KHuda na ho jaana
sil ko sine mein kaun rakhta hai
dil ka ham-qafiya na ho jaana
qafas-e-‘ishq hai ye jail nahin
qaidiyo tum riha na ho jaana
aankh khulte hi subh dhulte hi
KHwab ka be-Thikana ho jaana
gar zamana na mil sake 'zahrab'
tum KHud apna zamana ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.