hijr ka ye karb sara be-asar ho jaega
hijr kā ye karb saarā be-asar ho jā.egā
koī naġhma yaar kā jab chāragar ho jā.egā
zindagī ik dā.era hai gar muḳhālif bhī chaleñ
fāsla un dūriyoñ kā muḳhtasar ho jā.egā
vālihāna dastakeñ tum de ke dekho to sahī
dil mirā ḳhālī makāñ hai yaar ghar ho jā.egā
ab tumhāre mo'tarif haiñ rahbar-o-rahzan sabhī
tum jise apnā kahoge mo'atabar ho jā.egā
hai mayassar aaj jānāñ kar lo apne ġham ġhalat
kal ko 'zākir' bhī purānī ik ḳhabar ho jā.egā
hijr ka ye karb sara be-asar ho jaega
koi naghma yar ka jab chaaragar ho jaega
zindagi ek daera hai gar muKHalif bhi chalen
fasla un duriyon ka muKHtasar ho jaega
walihana dastaken tum de ke dekho to sahi
dil mera KHali makan hai yar ghar ho jaega
ab tumhaare mo'tarif hain rahbar-o-rahzan sabhi
tum jise apna kahoge mo'atabar ho jaega
hai mayassar aaj jaanan kar lo apne gham ghalat
kal ko 'zakir' bhi purani ek KHabar ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.