hijr ki raat chhoD jati hai
hijr kī raat chhoḌ jaatī hai
nit-na.ī baat chhoḌ jaatī hai
ishq chaltā hai tā-abad lekin
zindagī saath chhoḌ jaatī hai
dil bayābānī saath rakhtā hai
aañkh barsāt chhoḌ jaatī hai
chaah kī ik ḳhusūsiyat hai ki ye
mustaqil maat chhoḌ jaatī hai
marhale is tarah ke bhī haiñ ki jab
zaat ko zaat chhoḌ jaatī hai
hijr kā koī nā koī pahlū
har mulāqāt chhoḌ jaatī hai
hijr ki raat chhoD jati hai
nit-nai baat chhoD jati hai
ishq chalta hai ta-abad lekin
zindagi sath chhoD jati hai
dil bayabani sath rakhta hai
aankh barsat chhoD jati hai
chah ki ek KHususiyat hai ki ye
mustaqil mat chhoD jati hai
marhale is tarah ke bhi hain ki jab
zat ko zat chhoD jati hai
hijr ka koi na koi pahlu
har mulaqat chhoD jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.