hijr ki raaten kaise kaTen puchho hijr ke maron se
hijr kī rāteñ kaise kāTeñ pūchho hijr ke māroñ se
palkoñ palkoñ ashk sajā.e bāteñ kiiñ dīvāroñ se
jīvan nayyā juujh rahī hai zulm ke bahte dhāroñ se
ham ne kyā kyā dard sameTe rozāna aḳhbāroñ se
āñgan āñgan phuul khileñge pyaar kī ḳhushbū mahkegī
amn kā parcham hāthoñ meñ leñ kaam na leñ talvāroñ se
nazm-e-zamāna darham-o-barham ab to aisā lagtā hai
rāhzanoñ kā ḳhauf hai kam-kam Dar hai pahre-dāroñ se
jahd-o-amal kā dāman thāmeñ azm kā parcham lahrā.eñ
kashtī paar nahīñ lagtī hai bātoñ kī patvāroñ se
yaaro jism kī ḳhush-poshī se taz.īn-o-tauqīr nahīñ
dil ko bhī to raushan kiije pākīza afkāroñ se
mere vatan kī miTTī meñ bhī yaaro kitnī ḳhūbī hai
soñdhī soñdhī ḳhushbū mahke bārish kī bauchhāroñ se
hijr ki raaten kaise kaTen puchho hijr ke maron se
palkon palkon ashk sajae baaten kin diwaron se
jiwan nayya jujh rahi hai zulm ke bahte dhaaron se
hum ne kya kya dard sameTe rozana aKHbaron se
aangan aangan phul khilenge pyar ki KHushbu mahkegi
amn ka parcham hathon mein len kaam na len talwaron se
nazm-e-zamana darham-o-barham ab to aisa lagta hai
rahzanon ka KHauf hai kam-kam Dar hai pahre-daron se
jahd-o-amal ka daman thamen azm ka parcham lahraen
kashti par nahin lagti hai baaton ki patwaron se
yaro jism ki KHush-poshi se tazin-o-tauqir nahin
dil ko bhi to raushan kije pakiza afkaron se
mere watan ki miTTi mein bhi yaro kitni KHubi hai
sondhi sondhi KHushbu mahke barish ki bauchhaaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.