hijr ki rut mein taDapti-o-sisakti aankhen
hijr kī rut meñ taḌaptī-o-sisaktī āñkheñ
mujh se dekhī nahīñ jātīñ ye tumhārī āñkheñ
vaqt-e-college meñ kitāboñ ke ahāte meñ ghirī
haa.e kis tarah maiñ bhūlūñ vo kitābī āñkheñ
chehra aisā ki jo dekhe kahe sub.hān-allāh
zikr karte hue lab haiñ to namāzī āñkheñ
ai musavvir koī tasvīr banā mujh jaisī
chehra ho ġham kā badal shor machātī āñkheñ
mujh ko palkoñ pe biThā kar ke zamīñ-bos kiyā
yā-ḳhudā ḳhaak vo ho jaa.eñ farebī āñkheñ
baad tere jo mujhe dekhe kahe ye 'zoyā'
kis ke mātam meñ haiñ ye terī ġhilāfī āñkheñ
hijr ki rut mein taDapti-o-sisakti aankhen
mujh se dekhi nahin jatin ye tumhaari aankhen
waqt-e-college mein kitabon ke ahate mein ghiri
hae kis tarah main bhulun wo kitabi aankhen
chehra aisa ki jo dekhe kahe subhan-allah
zikr karte hue lab hain to namazi aankhen
ai musawwir koi taswir bana mujh jaisi
chehra ho gham ka badal shor machati aankhen
mujh ko palkon pe biTha kar ke zamin-bos kiya
ya-KHuda KHak wo ho jaen farebi aankhen
baad tere jo mujhe dekhe kahe ye 'zoya'
kis ke matam mein hain ye teri ghilafi aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.