hijr lazim hai to ye hijr nibhae jao
hijr lāzim hai to ye hijr nibhā.e jaao
jā rahe ho to koī rabt banā.e jaao
jo bhī is dil pe guzartī hai raqam karte raho
kaise mumkin hai kitābo se bhulā.e jaao
shāyad ye tarz kisī ruuh meñ ghar kar jaa.e
ain mumkin hai kisī dil meñ basā.e jaao
ye mirī raat bhī ummīd lagā.e hue hai
us ke dāman se koī sub.h lagā.e jaao
guftugū karte agar saath meñ hote kuchh der
jaate jaate mujhe ik sher sunā.e jaao
merī taḳhlīq ko āvāz banā do 'māham'
merī tahrīr kī ḳhāmoshī miTā.e jaao
hijr lazim hai to ye hijr nibhae jao
ja rahe ho to koi rabt banae jao
jo bhi is dil pe guzarti hai raqam karte raho
kaise mumkin hai kitabo se bhulae jao
shayad ye tarz kisi ruh mein ghar kar jae
ain mumkin hai kisi dil mein basae jao
ye meri raat bhi ummid lagae hue hai
us ke daman se koi subh lagae jao
guftugu karte agar sath mein hote kuchh der
jate jate mujhe ek sher sunae jao
meri taKHliq ko aawaz bana do 'maham'
meri tahrir ki KHamoshi miTae jao
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.