hijr maujud hai fasane mein
hijr maujūd hai fasāne meñ
saañp hotā hai har ḳhazāne meñ
raat bikhrī huī thī bistar par
kaT ga.ī silvaTeñ uThāne meñ
rizq ne ghar sambhāl rakkhā hai
ishq rakkhā hai sard ḳhāne meñ
raat bhī ho ga.ī hai din jaisī
ghar jalāne ke shāḳhsāne meñ
roz aaseb aate jaate haiñ
aisā kyā hai ġharīb-ḳhāne meñ
ho rahī hai mulāzmat 'faisal'
rā.egānī ke kār-ḳhāne meñ
hijr maujud hai fasane mein
sanp hota hai har KHazane mein
raat bikhri hui thi bistar par
kaT gai silwaTen uThane mein
rizq ne ghar sambhaal rakkha hai
ishq rakkha hai sard KHane mein
raat bhi ho gai hai din jaisi
ghar jalane ke shaKHsane mein
roz aaseb aate jate hain
aisa kya hai gharib-KHane mein
ho rahi hai mulazmat 'faisal'
raegani ke kar-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.