hijr-mausam tha satati rahi tanhai hamein
hijr-mausam thā satātī rahī tanhā.ī hameñ
chhat pe taarā bhī jo TuuTā to sadā aa.ī hameñ
qahqaha-zār fazāoñ meñ ajab bhiiḌ sī thī
ghar kā māhaul jo dekhā to hañsī aa.ī hameñ
ham sarāboñ ke musāfir the magar jānte the
kis ke dam par na Darātī rahī purvā.ī hameñ
chhāñv ne ābla-pā.ī ke sivā kuchh na diyā
dhuup detī rahī ehsās-e-tavānā.ī hameñ
ham ko to daldalī samtoñ kā bhī andāza thā
ret dariyā kī bhī mālūm thī gahrā.ī hameñ
'rind' ḳhāmosh sī yalġhār thī chaurāhe par
kāñch ke ghar se jo bāzār meñ le aa.ī hameñ
hijr-mausam tha satati rahi tanhai hamein
chhat pe tara bhi jo TuTa to sada aai hamein
qahqaha-zar fazaon mein ajab bhiD si thi
ghar ka mahaul jo dekha to hansi aai hamein
hum sarabon ke musafir the magar jaante the
kis ke dam par na Daraati rahi purwai hamein
chhanw ne aabla-pai ke siwa kuchh na diya
dhup deti rahi ehsas-e-tawanai hamein
hum ko to daldali samton ka bhi andaza tha
ret dariya ki bhi malum thi gahrai hamein
'rind' KHamosh si yalghaar thi chaurahe par
kanch ke ghar se jo bazar mein le aai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.