hijr mein ashk bahane se bhala kya hoga
hijr meñ ashk bahāne se bhalā kyā hogā
ai mire dil ye batā tujh se nayā kyā hogā
maiñ ne ik 'umr isī Dar meñ guzārī hai ki vo
gar mirā ho nahīñ paayā to mirā kyā hogā
aise chehre haiñ ki maiñ hosh gañvā detā huuñ
bande aise haiñ to phir soch ḳhudā kyā hogā
mujh ko duniyā na milī tū na milā kuchh na milā
ab mire saath batā aur burā kyā hogā
hijr mein ashk bahane se bhala kya hoga
ai mere dil ye bata tujh se naya kya hoga
main ne ek 'umr isi Dar mein guzari hai ki wo
gar mera ho nahin paya to mera kya hoga
aise chehre hain ki main hosh ganwa deta hun
bande aise hain to phir soch KHuda kya hoga
mujh ko duniya na mili tu na mila kuchh na mila
ab mere sath bata aur bura kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.