hijr mein bhi ye meri sans agar baqi hai
hijr meñ bhī ye mirī saañs agar baaqī hai
is kā matlab hai mohabbat meñ asar baaqī hai
chhoḌ ye baat mile zaḳhm kahāñ se tujh ko
zindagī itnā batā kitnā safar baaqī hai
tum sitamgar ho na ghabrāo mirī hālat par
zaḳhm sahne kā abhī mujh meñ hunar baaqī hai
hijr kī aag meñ jalne se nahīñ Dartī maiñ
ishq mujh meñ abhī be-ḳhauf-o-ḳhatar baaqī hai
mere tinke bhī hue raakh to kyā harj bhalā
ātish-e-ishq batā kitnā ye ghar baaqī hai
saañs lenā hī to 'shāhīn' nahīñ hai jīvan
DhūñD kar laao mirī ruuh agar baaqī hai
hijr mein bhi ye meri sans agar baqi hai
is ka matlab hai mohabbat mein asar baqi hai
chhoD ye baat mile zaKHm kahan se tujh ko
zindagi itna bata kitna safar baqi hai
tum sitamgar ho na ghabrao meri haalat par
zaKHm sahne ka abhi mujh mein hunar baqi hai
hijr ki aag mein jalne se nahin Darti main
ishq mujh mein abhi be-KHauf-o-KHatar baqi hai
mere tinke bhi hue rakh to kya harj bhala
aatish-e-ishq bata kitna ye ghar baqi hai
sans lena hi to 'shahin' nahin hai jiwan
DhunD kar lao meri ruh agar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.