hijr mein gham-kash koi mujh sa nahin
hijr meñ ġham-kash koī mujh sā nahīñ
aaj tak maiñ ne use dekhā nahīñ
kahne vaale ne to sab kuchh kah diyā
sunñe vaalā ek bhī samjhā nahīñ
maah maiñ kis ko sunā.ūñ hāl-e-zār
ḳhvāb meñ bhī vo nazar aayā nahīñ
jab nazar ho manzil-e-maqsūd par
rok saktī raah kī iizā nahīñ
aarzū hī us kī dil meñ rah ga.ī
haath dāman tak kabhī pahuñchā nahīñ
bazm-e-sāqī meñ hue vo sarfarāz
jaam jin ke haath meñ chhalkā nahīñ
vā'da-e-fardā kī phir tafsīl kar
kyā kahā tū ne koī samjhā nahīñ
hai ġhazab phir suur ne chauñkā diyā
niiñd bhar kar maiñ abhī soyā nahīñ
apnā sā muñh le ke shāna rah gayā
pech gesū kā koī suljhā nahīñ
kasb har dam kuchh na kuchh kartī hai ruuh
jaisā kal thā aaj maiñ vaisā nahīñ
jo nahīñ mast-e-sharāb-e-be-ḳhudī
us ne lutf-e-zindagī paayā nahīñ
jiite jī apne ko kar detā thā ḳhaak
maut se marnā koī marnā nahīñ
yaad ai 'betāb' rakhnā yaar ko
paar hai beḌā agar bhūlā nahīñ
hijr mein gham-kash koi mujh sa nahin
aaj tak main ne use dekha nahin
kahne wale ne to sab kuchh kah diya
sunne wala ek bhi samjha nahin
mah main kis ko sunaun haal-e-zar
KHwab mein bhi wo nazar aaya nahin
jab nazar ho manzil-e-maqsud par
rok sakti rah ki iza nahin
aarzu hi us ki dil mein rah gai
hath daman tak kabhi pahuncha nahin
bazm-e-saqi mein hue wo sarfaraaz
jam jin ke hath mein chhalka nahin
wa'da-e-farda ki phir tafsil kar
kya kaha tu ne koi samjha nahin
hai ghazab phir sur ne chaunka diya
nind bhar kar main abhi soya nahin
apna sa munh le ke shana rah gaya
pech gesu ka koi suljha nahin
kasb har dam kuchh na kuchh karti hai ruh
jaisa kal tha aaj main waisa nahin
jo nahin mast-e-sharab-e-be-KHudi
us ne lutf-e-zindagi paya nahin
jite ji apne ko kar deta tha KHak
maut se marna koi marna nahin
yaad ai 'betab' rakhna yar ko
par hai beDa agar bhula nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.