hijr mein jab KHayal-e-yar aaya
hijr meñ jab ḳhayāl-e-yār aayā
lab pe naala hazār baar aayā
phir safā.ī kī kaun sī sūrat
aap ke dil meñ jab ġhubār aayā
kījiye zabah khīñchiye ḳhanjar
lījiye ye gunāhgār aayā
bole Thukrā ke mere marqad ko
ab tujhe kis tarah qarār aayā
tū ne hāsil 'nasīm' kuchh na kiyā
kuchh bhī tujh ko na mere yaar aayā
hijr mein jab KHayal-e-yar aaya
lab pe nala hazar bar aaya
phir safai ki kaun si surat
aap ke dil mein jab ghubar aaya
kijiye zabah khinchiye KHanjar
lijiye ye gunahgar aaya
bole Thukra ke mere marqad ko
ab tujhe kis tarah qarar aaya
tu ne hasil 'nasim' kuchh na kiya
kuchh bhi tujh ko na mere yar aaya
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 150)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.