hijr mein tere jalti rahi zindagi
hijr meñ tere jaltī rahī zindagī
yuuñ sisaktī taḌaptī rahī zindagī
yaad terī kā dil meñ hai melā rahā
phuul ban ke mahaktī rahī zindagī
pyaar se tum ne āvāz dī thī mujhe
umr bhar phir machaltī rahī zindagī
ruuTh kar tū judā mujh se aisā huā
kashmakash meñ hī Dhaltī rahī zindagī
chāñd kī to jhalak 'gul' ko aisī lagī
dekhne ko tarastī rahī zindagī
hijr mein tere jalti rahi zindagi
yun sisakti taDapti rahi zindagi
yaad teri ka dil mein hai mela raha
phul ban ke mahakti rahi zindagi
pyar se tum ne aawaz di thi mujhe
umr bhar phir machalti rahi zindagi
ruTh kar tu juda mujh se aisa hua
kashmakash mein hi Dhalti rahi zindagi
chand ki to jhalak 'gul' ko aisi lagi
dekhne ko tarasti rahi zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.