hijr-nama paDhte paDhte dastan ho jaunga
hijr-nāma paḌhte paḌhte dāstāñ ho jā.uñgā
ek din maiñ bhī sharīk-e-kārvāñ ho jā.uñgā
bā-zabāñ hote hue bhī be-zabāñ ho jā.uñgā
dil se chāho to tumhārā rāzdāñ ho jā.uñgā
bā’d-az-tārāj maiñ ne ye kabhī sochā na thā
phir kisī gul se milūñgā gulsitāñ ho jā.uñgā
tum kisī vā'iz ke chakkar meñ judā ho jāogī
maiñ kisī be-sur muazzin kī azaañ ho jā.uñgā
thaam kar hāthoñ meñ apne vaqt kī baisākhiyāñ
manzil-e-maqsūd kī jānib ravāñ ho jā.uñgā
mutma.in rahnā paḌegā par nikalne tak mujhe
gar abhī niklā qafas se be-amāñ ho jā.uñgā
tīrgī kī sāzisheñ nākām karne ke liye
sub.h-e-sādiq shams kī sūrat 'ayāñ ho jā.uñgā
gar yūñhī lipTā rahā maiñ kākul-e-ḳhamdār se
aag bujhte hī mohabbat kī dhuāñ ho jā.uñgā
muskurāne kī agar mohlat bhī dī jaa.e mujhe
is qadar majbūr huuñ girya-kunāñ ho jā.uñgā
ai parī-zādī mire andām kā rā’sha na dekh
sabr gar TuuTā za’īfī meñ javāñ ho jā.uñgā
log sīkheñge mire marne se jiine kā hunar
maiñ pa.e-'ushshāq 'ibrat kā nishāñ ho jā.uñgā
maiñ tirī jalvagarī kī taab lā saktā nahīñ
misl-e-mūsā luqma-e-barq-e-tapāñ ho jā.uñgā
fā'ilātun fā'ilātun fā'ilātun fā’ilun
ye ravish jaarī rahī to jāvedāñ ho jā.uñgā
maut kī hasrat banegī āḳhirī chāra merā
jab mohabbat ke safar meñ nīm-jāñ ho jā.uñgā
jab bhī āzādī milegī gardish-e-ayyām se
maiñ bhī 'mehvar' 'āshiq-e-bint-e-fulāñ ho jā.uñgā
hijr-nama paDhte paDhte dastan ho jaunga
ek din main bhi sharik-e-karwan ho jaunga
ba-zaban hote hue bhi be-zaban ho jaunga
dil se chaho to tumhaara raazdan ho jaunga
ba’d-az-taraj main ne ye kabhi socha na tha
phir kisi gul se milunga gulsitan ho jaunga
tum kisi wa'iz ke chakkar mein juda ho jaogi
main kisi be-sur muazzin ki azan ho jaunga
tham kar hathon mein apne waqt ki baisakhiyan
manzil-e-maqsud ki jaanib rawan ho jaunga
mutmain rahna paDega par nikalne tak mujhe
gar abhi nikla qafas se be-aman ho jaunga
tirgi ki sazishen nakaam karne ke liye
subh-e-sadiq shams ki surat 'ayan ho jaunga
gar yunhi lipTa raha main kakul-e-KHamdar se
aag bujhte hi mohabbat ki dhuan ho jaunga
muskurane ki agar mohlat bhi di jae mujhe
is qadar majbur hun girya-kunan ho jaunga
ai pari-zadi mere andam ka ra’sha na dekh
sabr gar TuTa za’ifi mein jawan ho jaunga
log sikhenge mere marne se jine ka hunar
main pae-'ushshaq 'ibrat ka nishan ho jaunga
main teri jalwagari ki tab la sakta nahin
misl-e-musa luqma-e-barq-e-tapan ho jaunga
fa'ilatun fa'ilatun fa'ilatun fa’ilun
ye rawish jari rahi to jawedan ho jaunga
maut ki hasrat banegi aaKHiri chaara mera
jab mohabbat ke safar mein nim-jaan ho jaunga
jab bhi aazadi milegi gardish-e-ayyam se
main bhi 'mehwar' 'ashiq-e-bint-e-fulan ho jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.