hijr-o-visal kitna aasan kar diya hai
hijr-o-visāl kitnā āsān kar diyā hai
is 'ishq ne mukammal sāmān kar diyā hai
palkoñ pe jo zarā sī būñdeñ chamak rahī thiiñ
dāman baḌhā ke us ne tūfān kar diyā hai
kuchh to hameñ bhī us ne insāniyat sikhā dī
ham ne bhī us ko thoḌā shaitān kar diyā hai
kaisī 'ajīb chhab thī kyā husn kā samāñ thā
us ne to aaj sab ko hairān kar diyā hai
hijr-o-visal kitna aasan kar diya hai
is 'ishq ne mukammal saman kar diya hai
palkon pe jo zara si bunden chamak rahi thin
daman baDha ke us ne tufan kar diya hai
kuchh to hamein bhi us ne insaniyat sikha di
hum ne bhi us ko thoDa shaitan kar diya hai
kaisi 'ajib chhab thi kya husn ka saman tha
us ne to aaj sab ko hairan kar diya hai
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 100)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 103)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.