hijr se wasl is qadar bhaari
hijr se vasl is qadar bhārī
sub.h se dil pe haul hai taarī
apnī uftād-e-tab.a kyā kahiye!
vahī derīna dil kī bīmārī
un ke chehre pe fat.h ke bā-vasf
infi.āl-e-shikast hai taarī
dil ka.ī roz se dhaḌaktā hai
hai kisī hādse kī tayyārī
ba.az auqāt azm-e-tark-e-vafā
ain min-jumla-e-vafādārī
un ko taklīf-e-nāz detā huuñ
haa.e ye ḳhū-e-dost-āzārī
jān-levā sahī jarāhat-e-ishq
aql kā zaḳhm hai bahut kaarī
kaash mujh ko hisār meñ le le
mere ghar kī chahār-dīvārī
hijr se wasl is qadar bhaari
subh se dil pe haul hai tari
apni uftad-e-taba kya kahiye!
wahi derina dil ki bimari
un ke chehre pe fath ke ba-wasf
infial-e-shikast hai tari
dil kai roz se dhaDakta hai
hai kisi hadse ki tayyari
baz auqat azm-e-tark-e-wafa
ain min-jumla-e-wafadari
un ko taklif-e-naz deta hun
hae ye KHu-e-dost-azari
jaan-lewa sahi jarahat-e-ishq
aql ka zaKHm hai bahut kari
kash mujh ko hisar mein le le
mere ghar ki chahaar-diwari
- Book : Hikayat-e-nai (Pg. 70)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est. Krachi-3 (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.