Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta

Shakeel Badayuni

nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    nazar-navāz nazāroñ meñ nahīñ lagtā

    vo kyā ga.e ki bahāroñ meñ nahīñ lagtā

    shab-e-firāq ko ai chāñd aa ke chamkā de

    nazar udaas hai tāroñ meñ nahīñ lagtā

    ġham-e-hayāt ke maare to ham bhī haiñ lekin

    ġham-e-hayāt ke māroñ meñ nahīñ lagtā

    na pūchh mujh se tire ġham meñ kyā guzartī hai

    yahī kahūñgā hazāroñ meñ nahīñ lagtā

    kuchh is qadar hai ġham-e-zindagī se dil māyūs

    ḳhizāñ ga.ī to bahāroñ meñ nahīñ lagtā

    fasāna-e-shab-e-ġham ḳhatm hone vaalā hai

    'shakīl' chāñd sitāroñ meñ nahīñ lagtā

    nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta

    wo kya gae ki bahaaron mein ji nahin lagta

    shab-e-firaq ko ai chand aa ke chamka de

    nazar udas hai taron mein ji nahin lagta

    gham-e-hayat ke mare to hum bhi hain lekin

    gham-e-hayat ke maron mein ji nahin lagta

    na puchh mujh se tere gham mein kya guzarti hai

    yahi kahunga hazaron mein ji nahin lagta

    kuchh is qadar hai gham-e-zindagi se dil mayus

    KHizan gai to bahaaron mein ji nahin lagta

    fasana-e-shab-e-gham KHatm hone wala hai

    'shakil' chand sitaron mein ji nahin lagta

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shanti Hiranand

    Shanti Hiranand

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now