hijr tanhai ke lamhon mein bahut bolta hai
hijr tanhā.ī ke lamhoñ meñ bahut boltā hai
rang is kā ka.ī rañgoñ meñ bahut boltā hai
maiñ use chup ke havāle se bhī kaise likkhūñ
vo to aisā hai ki harfoñ meñ bahut boltā hai
ek lau hai ki sar-e-bām thiraktī hai bahut
ik diyā hai ki darīchoñ meñ bahut boltā hai
apnī āvāz sunā.ī nahīñ detī mujh ko
ek sannāTā ki galiyoñ meñ bahut boltā hai
ek hī lai se hai mānūs mirā tār-e-nafas
ek hī sar mere kānoñ meñ bahut boltā hai
chaaT letī hai mirā jism mire peḌ kī dhuup
merā saaya bure vaqtoñ meñ bahut boltā hai
aksar auqāt mirī zaat kā ik ḳhālī-pan
merī TuuTī huī chīzoñ meñ bahut boltā hai
dil mirā us kī tarah phuul ke mānind hai 'qais'
jo mirī band kitāboñ meñ bahut boltā hai
hijr tanhai ke lamhon mein bahut bolta hai
rang is ka kai rangon mein bahut bolta hai
main use chup ke hawale se bhi kaise likkhun
wo to aisa hai ki harfon mein bahut bolta hai
ek lau hai ki sar-e-baam thirakti hai bahut
ek diya hai ki darichon mein bahut bolta hai
apni aawaz sunai nahin deti mujh ko
ek sannaTa ki galiyon mein bahut bolta hai
ek hi lai se hai manus mera tar-e-nafas
ek hi sar mere kanon mein bahut bolta hai
chaT leti hai mera jism mere peD ki dhup
mera saya bure waqton mein bahut bolta hai
aksar auqat meri zat ka ek KHali-pan
meri TuTi hui chizon mein bahut bolta hai
dil mera us ki tarah phul ke manind hai 'qais'
jo meri band kitabon mein bahut bolta hai
- Book : Aks Padta Hai Chaand ka (Pg. 36)
- Author : saeed qais
- Publication : Mavra Books, Lahore (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.