hijran ki shab jo dard ke mare udas hain
hijrāñ kī shab jo dard ke maare udaas haiñ
un kī nazar meñ chāñd sitāre udaas haiñ
āñkheñ vo phir ga.iiñ ki zamāna ulaT gayā
jiite the jo nazar ke sahāre udaas haiñ
kyā hiir ab kahīñ hai na rāñjhe kā jāñ-nashīñ
kyuuñ ai chanāb tere kināre udaas haiñ
behtar hai ham bhī chashm-e-jahāñ-bīñ ko muuñd leñ
duniyā ke ab tamām nazāre udaas haiñ
'mahrūm' kyā kalām bhī apnā fanā huā
kyuuñ ham ko kho ke dost hamāre udaas haiñ
hijran ki shab jo dard ke mare udas hain
un ki nazar mein chand sitare udas hain
aankhen wo phir gain ki zamana ulaT gaya
jite the jo nazar ke sahaare udas hain
kya hir ab kahin hai na ranjhe ka jaan-nashin
kyun ai chanab tere kinare udas hain
behtar hai hum bhi chashm-e-jahan-bin ko mund len
duniya ke ab tamam nazare udas hain
'mahrum' kya kalam bhi apna fana hua
kyun hum ko kho ke dost hamare udas hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.