hilore gungunati baaliyon ke
hilore gungunātī bāliyoñ ke
banāte dā.ere sargoshiyoñ ke
bahut haiñ vaar tīkhe bijliyoñ ke
kaTeñge pañkh chanchal badliyoñ ke
akele aa ga.e jaane kahāñ ham
nishāñ milte nahīñ haiñ sāthiyoñ ke
ufuq pe shaam ne paTkī haiñ bāñheñ
bikhere kāñch TukḌe chūḌiyoñ ke
Dubo.eñge nagar ko saath apne
bhañvar dil meñ bane haiñ bāsiyoñ ke
chhupā kar le ga.e sūraj kī kirneñ
ghanere saa.e gahrī vādiyoñ ke
kalī dil kī na jaane kab khilegī
bhare phūloñ se baazū Tahniyoñ ke
hilore gungunati baaliyon ke
banate daere sargoshiyon ke
bahut hain war tikhe bijliyon ke
kaTenge pankh chanchal badliyon ke
akele aa gae jaane kahan hum
nishan milte nahin hain sathiyon ke
ufuq pe sham ne paTki hain banhen
bikhere kanch TukDe chuDiyon ke
Duboenge nagar ko sath apne
bhanwar dil mein bane hain basiyon ke
chhupa kar le gae suraj ki kirnen
ghanere sae gahri wadiyon ke
kali dil ki na jaane kab khilegi
bhare phulon se bazu Tahniyon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.