himmat junun azm irada liye hue
himmat junūn azm irāda liye hue
chaltā huuñ apne saath maiñ kyā kyā liye hue
rishta sañbhālne meñ lagā huuñ maiñ mom ke
hālāt haiñ ki dhuup kā TukḌā liye hue
mahrūmiyoñ kā yuuñ bhī kiyā maiñ ne ehtirām
niklā nahīñ huuñ haath meñ kaasa liye hue
detā huuñ roz ḳhud ko dilāse hayāt ke
shānoñ pe apne aap kā lāsha liye hue
ik roz dūñgā sab kī samā.at pe dastakeñ
apne qalam se niklā tarāna liye hue
sab gum-shuda khaḌe haiñ zamāne kī bhiiḌ meñ
manzil kā apnī dhuñdlā se naqsha liye hue
kamiyāñ nikāl kar vo mirī sharmsār thā
aaya thā ek shaḳhs jo shīsha liye hue
himmat junun azm irada liye hue
chalta hun apne sath main kya kya liye hue
rishta sanbhaalne mein laga hun main mom ke
haalat hain ki dhup ka TukDa liye hue
mahrumiyon ka yun bhi kiya main ne ehtiram
nikla nahin hun hath mein kasa liye hue
deta hun roz KHud ko dilase hayat ke
shanon pe apne aap ka lasha liye hue
ek roz dunga sab ki samaat pe dastaken
apne qalam se nikla tarana liye hue
sab gum-shuda khaDe hain zamane ki bhiD mein
manzil ka apni dhundla se naqsha liye hue
kamiyan nikal kar wo meri sharmsar tha
aaya tha ek shaKHs jo shisha liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.