himmat kar ke par utarna dil chhoTa mat karna
himmat kar ke paar utarnā dil chhoTā mat karnā
dariyā kā hai kaam bipharnā dil chhoTā mat karnā
dil ko dard-e-hijr ne gherā tark-e-vafā par lekin
kuchh haftoñ kā hai ye dharnā dil chhoTā mat karnā
ronā lekin aas na dil kī ro lene se TuuTe
āñkhoñ ko ashkoñ se bharnā dil chhoTā mat karnā
dil se nikle jab koī to ghar bhī kahāñ aatā hai
āñgan chhoTā be-shak karnā dil chhoTā mat karnā
us ke marne se thoḌī nā qadr-e-husn ghaTegī
baa'd 'malāl' ke aur sañvarnā dil chhoTā mat karnā
himmat kar ke par utarna dil chhoTa mat karna
dariya ka hai kaam bipharna dil chhoTa mat karna
dil ko dard-e-hijr ne ghera tark-e-wafa par lekin
kuchh hafton ka hai ye dharna dil chhoTa mat karna
rona lekin aas na dil ki ro lene se TuTe
aankhon ko ashkon se bharna dil chhoTa mat karna
dil se nikle jab koi to ghar bhi kahan aata hai
aangan chhoTa be-shak karna dil chhoTa mat karna
us ke marne se thoDi na qadr-e-husn ghaTegi
ba'd 'malal' ke aur sanwarna dil chhoTa mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.