hiqarat ki nazar se dekhta hai har bashar mujhko
hiqārat kī nazar se dekhtā hai har bashar mujh ko
zamāna boltā hai tum bhī kah lo dard-e-sar mujh ko
maiñ huuñ vo sham.a jis kī qadr-o-qīmat sirf itnī hai
kisī ne taaq par rakkhā kisī ne qabr par mujh ko
bharose kī saḌak par buġhz ke itne gaḌhe dekhe
ki ab ik shaḳhs bhī lagtā nahīñ hai mo'atabar mujh ko
havāoñ ne to kashtī kā mirī ruḳh moḌ hī Daalā
ai lahro tum bhī kar lo aa ke ab zer-o-zabar mujh ko
fareb-e-manzil-e-maqsad se vāqif ho gayā huuñ maiñ
ḳhudārā aap rahne dījiye mahv-e-safar mujh ko
ghirā huuñ aaj zulmat meñ magar ummīd hai 'anjum'
ki mil hī jā.egī kal zindagānī kī sahar mujh ko
hiqarat ki nazar se dekhta hai har bashar mujh ko
zamana bolta hai tum bhi kah lo dard-e-sar mujh ko
main hun wo shama jis ki qadr-o-qimat sirf itni hai
kisi ne taq par rakkha kisi ne qabr par mujh ko
bharose ki saDak par bughz ke itne gaDhe dekhe
ki ab ek shaKHs bhi lagta nahin hai mo'atabar mujh ko
hawaon ne to kashti ka meri ruKH moD hi Dala
ai lahro tum bhi kar lo aa ke ab zer-o-zabar mujh ko
fareb-e-manzil-e-maqsad se waqif ho gaya hun main
KHudara aap rahne dijiye mahw-e-safar mujh ko
ghira hun aaj zulmat mein magar ummid hai 'anjum'
ki mil hi jaegi kal zindagani ki sahar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.