hisar-e-kasa-e-sar toD kar nikal aae
hisār-e-kāsa-e-sar toḌ kar nikal aa.e
talab huī thī to sajdoñ ke par nikal aa.e
har ik zamīr se parda uThā ga.e patthar
kisī ke aib kisī ke hunar nikal aa.e
sañvar sañvar ke mashiyyat sañvārtī hai jinheñ
idhar to koī nahīñ ham kidhar nikal aa.e
mirā ḳharosh-e-junūñ jab bhī rañg-pāsh huā
mirī taraf nigarāñ kitne dar nikal aa.e
kahāñ hai holī jo dekhe ba-yak-karishma do-kār
ghire the aag meñ ham bhī magar nikal aa.e
ba-īñ-nazākat-e-taḳhlīq Thokareñ khāne
ye pattharoñ meñ kahāñ shīshagar nikal aa.e
farāz-e-manzil-e-raf-raf savārgī saugand
ḳhalā meñ aur basīrat ke par nikal aa.e
lab-e-furāt ajab shān-e-sarfarāzī thī
gumāñ thā dasht meñ nezoñ ke sar nikal aa.e
hai āgahī bhī agar jāñ-gusil to ho 'ġhausī'
harīm-e-be-ḳhabarī se magar nikal aa.e
hisar-e-kasa-e-sar toD kar nikal aae
talab hui thi to sajdon ke par nikal aae
har ek zamir se parda uTha gae patthar
kisi ke aib kisi ke hunar nikal aae
sanwar sanwar ke mashiyyat sanwarti hai jinhen
idhar to koi nahin hum kidhar nikal aae
mera KHarosh-e-junun jab bhi rang-pash hua
meri taraf nigaran kitne dar nikal aae
kahan hai holi jo dekhe ba-yak-karishma do-kar
ghire the aag mein hum bhi magar nikal aae
ba-in-nazakat-e-taKHliq Thokaren khane
ye pattharon mein kahan shishagar nikal aae
faraaz-e-manzil-e-raf-raf sawargi saugand
KHala mein aur basirat ke par nikal aae
lab-e-furaat ajab shan-e-sarfaraazi thi
guman tha dasht mein nezon ke sar nikal aae
hai aagahi bhi agar jaan-gusil to ho 'ghausi'
harim-e-be-KHabari se magar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.