hisar-e-zat mein sara jahan hona tha
hisār-e-zāt meñ saarā jahān honā thā
qarīb aise tujhe merī jaan honā thā
tirī jabīñ pe shikan kyuuñ visāl-lamhe meñ
mohabbatoñ kā yahāñ to nishān honā thā
tumhāre chhūne se kuchh raushnī badan ko milī
vagarna us ko faqat rākh-dān honā thā
tumhārī nafratoñ ne miTTī meñ milā Daalā
jo ḳhvāb taarā sā palkoñ kī shaan honā thā
bahut hī thoḌī thī dil meñ tumhāre umr mirī
thī ḳhvāb-zād mujhe dāstān honā thā
bichhaḌ gayā to 'shabānā' malāl kyā karnā
use bichhaḌnā thā vahm o gumān honā thā
hisar-e-zat mein sara jahan hona tha
qarib aise tujhe meri jaan hona tha
teri jabin pe shikan kyun visal-lamhe mein
mohabbaton ka yahan to nishan hona tha
tumhaare chhune se kuchh raushni badan ko mili
wagarna us ko faqat rakh-dan hona tha
tumhaari nafraton ne miTTi mein mila Dala
jo KHwab tara sa palkon ki shan hona tha
bahut hi thoDi thi dil mein tumhaare umr meri
thi KHwab-zad mujhe dastan hona tha
bichhaD gaya to 'shabana' malal kya karna
use bichhaDna tha wahm o guman hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.