hisar tang zamin tang aasman bhi tang
hisār tang zamīñ tang āsmān bhī tang
hamāre sar pe huā ghar kā sā.ebān bhī tang
khulī fazā se to behtar thī qaid hī kī ghuTan
ki aaj hone lage mujh pe jism-o-jān bhī tang
fazā-e-vaqt kī sāzish bhī kaisī sāzish thī
hamāre jism ke hote ga.e nishān bhī tang
sahāre maujoñ ke kuchh kaam aa sake na mire
shikasta thī mirī kashtī to bādbān bhī tang
ghirā huā huuñ maiñ baunoñ ke darmiyāñ kab se
ki merā chehra hai majrūh to zabān bhī tang
añdhere ab to nigalne lage haiñ yuuñ ki 'asar'
naved-e-sub.h se pahle huī zabān bhī tang
hisar tang zamin tang aasman bhi tang
hamare sar pe hua ghar ka saeban bhi tang
khuli faza se to behtar thi qaid hi ki ghuTan
ki aaj hone lage mujh pe jism-o-jaan bhi tang
faza-e-waqt ki sazish bhi kaisi sazish thi
hamare jism ke hote gae nishan bhi tang
sahaare maujon ke kuchh kaam aa sake na mere
shikasta thi meri kashti to baadban bhi tang
ghira hua hun main baunon ke darmiyan kab se
ki mera chehra hai majruh to zaban bhi tang
andhere ab to nigalne lage hain yun ki 'asar'
nawed-e-subh se pahle hui zaban bhi tang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.