ho chuka khel bahut ji se guzar jaane ka
ho chukā khel bahut jī se guzar jaane kā
aaj iqrār kareñ zaḳhm ke bhar jaane kā
ham bhī zinda the masīhā-nafasoñ ke hote
sach to ye hai ki vahī vaqt thā mar jaane kā
be-sarokār falak be-dar-o-dīvār zamīñ
sar meñ saudā hai mirī jaan kidhar jaane kā
ham yahāñ tak ḳhas-o-ḳhāshāk-e-badan ko le aa.e
aage ab koī bhī mausam ho bikhar jaane kā
koī dushvār nahīñ sheva-e-shorīda-sarī
haañ agar hai to zarā ḳhauf hai sar jaane kā
ab talak bazm meñ aanā hī thā ik kār-e-hunar
ham ne āġhāz kiyā kār-e-hunar jaane kā
ho chuka khel bahut ji se guzar jaane ka
aaj iqrar karen zaKHm ke bhar jaane ka
hum bhi zinda the masiha-nafason ke hote
sach to ye hai ki wahi waqt tha mar jaane ka
be-sarokar falak be-dar-o-diwar zamin
sar mein sauda hai meri jaan kidhar jaane ka
hum yahan tak KHas-o-KHashak-e-badan ko le aae
aage ab koi bhi mausam ho bikhar jaane ka
koi dushwar nahin shewa-e-shorida-sari
han agar hai to zara KHauf hai sar jaane ka
ab talak bazm mein aana hi tha ek kar-e-hunar
hum ne aaghaz kiya kar-e-hunar jaane ka
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 79)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.