ho chuki ab shairi lafzon ka daftar bandh lo
ho chukī ab shā.irī lafzoñ kā daftar bāñdh lo
tañg ho jaa.e zamīñ to apnā bistar bāñdh lo
dosh par īmān kī gaThrī ho sar ho yā na ho
peT ḳhālī haiñ to kyā peToñ pe patthar bāñdh lo
āfiyat chāho to jhuk jaao sar-e-pā-posh-e-vaqt
phir ye dastār-e-fazīlat apne sar par bāñdh lo
qāzī-ul-hājāt se ik ahd bāñdhā thā to kyā
ab faqīh-e-shahr se ahd-e-mukarrar bāñdh lo
āshiyānoñ meñ chhupe baiThe haiñ sab shāhīn-o-zāġh
tum bhī 'shā.ir' tā.ir-e-taḳh.īl ke par bāñdh lo
ho chuki ab shairi lafzon ka daftar bandh lo
tang ho jae zamin to apna bistar bandh lo
dosh par iman ki gaThri ho sar ho ya na ho
peT KHali hain to kya peTon pe patthar bandh lo
aafiyat chaho to jhuk jao sar-e-pa-posh-e-waqt
phir ye dastar-e-fazilat apne sar par bandh lo
qazi-ul-hajat se ek ahd bandha tha to kya
ab faqih-e-shahr se ahd-e-mukarrar bandh lo
aashiyanon mein chhupe baiThe hain sab shahin-o-zagh
tum bhi 'shair' tair-e-taKHil ke par bandh lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.