ho din ki chahe raat koi masala nahin
ho din ki chāhe raat koī mas.ala nahīñ
mere liye hayāt koī mas.ala nahīñ
uljhā huā huuñ kab se savāloñ ke dasht meñ
kaise kahūñ maiñ zaat koī mas.ala nahīñ
chalnā hai saath saath ki rāheñ badal leñ ham
tū soch mere saath koī mas.ala nahīñ
jo ho mufīd aap vahī faisla kareñ
māneñ na merī baat koī mas.ala nahīñ
sahrā kī tez dhuup mujhe aa ga.ī hai raas
jañgal kī sard raat koī mas.ala nahīñ
'irfān' apne saath kabhī rah ke dekhnā
ḳhud se ta.alluqāt koī mas.ala nahīñ
ho din ki chahe raat koi masala nahin
mere liye hayat koi masala nahin
uljha hua hun kab se sawalon ke dasht mein
kaise kahun main zat koi masala nahin
chalna hai sath sath ki rahen badal len hum
tu soch mere sath koi masala nahin
jo ho mufid aap wahi faisla karen
manen na meri baat koi masala nahin
sahra ki tez dhup mujhe aa gai hai ras
jangal ki sard raat koi masala nahin
'irfan' apne sath kabhi rah ke dekhna
KHud se talluqat koi masala nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.