ho gae hum shikar phulon ke
ho ga.e ham shikār phūloñ ke
haiñ ġhazab iḳhtiyār phūloñ ke
merī tanhā.iyāñ batātī haiñ
phuul hote haiñ yaar phūloñ ke
ek manzil hai muḳhtalif rāheñ
rañg haiñ be-shumār phūloñ ke
aaj phūloñ ke ālamī din par
us ne bheje haiñ ḳhaar phūloñ ke
phuul haiñ sher bū-e-gul dhun hai
ham haiñ naġhma-nigār phūloñ ke
ho gae hum shikar phulon ke
hain ghazab iKHtiyar phulon ke
meri tanhaiyan batati hain
phul hote hain yar phulon ke
ek manzil hai muKHtalif rahen
rang hain be-shumar phulon ke
aaj phulon ke aalami din par
us ne bheje hain KHar phulon ke
phul hain sher bu-e-gul dhun hai
hum hain naghma-nigar phulon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.