ho gae tum se juda yaad aaya
ho ga.e tum se judā yaad aaya
jo na honā thā huā yaad aaya
dil bhar aaya hai hamārā kyā kyā
jab bhī vo ahd-e-vafā yaad aaya
maiñ tujhe yaad na aaya lekin
tū mujhe sub.h-o-masā yaad aaya
tujh ko jitnā bhī bhulānā chāhā
tū mujhe us se sivā yaad aaya
aib auroñ meñ nazar aa.e bahut
kab kise apnā kiyā yaad aaya
is bayābāñ meñ jo kal rahtā thā
aaj vo ābla-pā yaad aaya
zindagī apnī 'niyāz'-e-ḳhasta
aisī guzrī ki ḳhudā yaad aaya
ho gae tum se juda yaad aaya
jo na hona tha hua yaad aaya
dil bhar aaya hai hamara kya kya
jab bhi wo ahd-e-wafa yaad aaya
main tujhe yaad na aaya lekin
tu mujhe subh-o-masa yaad aaya
tujh ko jitna bhi bhulana chaha
tu mujhe us se siwa yaad aaya
aib auron mein nazar aae bahut
kab kise apna kiya yaad aaya
is bayaban mein jo kal rahta tha
aaj wo aabla-pa yaad aaya
zindagi apni 'niyaz'-e-KHasta
aisi guzri ki KHuda yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.