Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho gai hai ghair ki shirin-bayani kargar

Mirza Ghalib

ho gai hai ghair ki shirin-bayani kargar

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    ho ga.ī hai ġhair shīrīñ-bayānī kārgar

    'ishq us ko gumāñ ham be-zabānoñ par nahīñ

    zabt se matlab ba-juz vārastagī dīgar nahīñ

    dāman-e-timsāl āb-e-ā.ina se tar nahīñ

    bā.is-e-īzā hai barham-ḳhurdan-e-bazm-e-surūr

    laḳht laḳht-e-shīsha-e-bashkasta juz nishtar nahīñ

    dil ko iz.hār-e-suḳhan andāz-e-fat.h-ul-bāb hai

    yaañ sarīr-e-ḳhāma ġhair-az-istikāk-e-dar nahīñ

    ho gai hai ghair ki shirin-bayani kargar

    'ishq ka us ko guman hum be-zabanon par nahin

    zabt se matlab ba-juz warastagi digar nahin

    daman-e-timsal aab-e-aina se tar nahin

    bais-e-iza hai barham-KHurdan-e-bazm-e-surur

    laKHt laKHt-e-shisha-e-bashkasta juz nishtar nahin

    dil ko izhaar-e-suKHan andaz-e-fath-ul-bab hai

    yan sarir-e-KHama ghair-az-istikak-e-dar nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now