ho gai ishq mein badnam jawani apni
ho ga.ī ishq meñ badnām javānī apnī
ban ga.ī markaz-e-ālām javānī apnī
māzī-o-hāl haiñ mahrūm-e-sharāb-o-naġhma
haa.e afsurda-o-nākām javānī apnī
aah vo sub.h jo thī sub.h-e-bahār-e-hastī
hai usī sub.h kī ab shaam javānī apnī
ek tārīk fazā ek ghaTā sā māhaul
kisī muflis kā hai anjām javānī apnī
unhīñ rāhoñ meñ unhīñ mast-o-javāñ galiyoñ meñ
laḌkhaḌā.ī hai bahar-gām javānī apnī
ek vo din thā ki mai-ḳhānoñ pe ham bhārī the
aaj hai daur-e-tah-e-jām javānī apnī
iktifā kar ke khanakte hue roz-o-shab par
ban ga.ī ziist par ilzām javānī apnī
din huā dhuup chaḌhī Dhal ga.e saa.e 'altāf'
ab hai ik bujhtī huī shaam javānī apnī
ho gai ishq mein badnam jawani apni
ban gai markaz-e-alam jawani apni
mazi-o-haal hain mahrum-e-sharab-o-naghma
hae afsurda-o-nakaam jawani apni
aah wo subh jo thi subh-e-bahaar-e-hasti
hai usi subh ki ab sham jawani apni
ek tarik faza ek ghaTa sa mahaul
kisi muflis ka hai anjam jawani apni
unhin rahon mein unhin mast-o-jawan galiyon mein
laDkhaDai hai bahar-gam jawani apni
ek wo din tha ki mai-KHanon pe hum bhaari the
aaj hai daur-e-tah-e-jam jawani apni
iktifa kar ke khanakte hue roz-o-shab par
ban gai zist par ilzam jawani apni
din hua dhup chaDhi Dhal gae sae 'altaf'
ab hai ek bujhti hui sham jawani apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.