ho gai sair-e-jahan kunj-e-jahan tak aa gae
ho ga.ī sair-e-jahāñ kunj-e-jahāñ tak aa ga.e
apne ghar se nikle apne āshiyāñ tak aa ga.e
paikar-e-fānī se rūh-e-jāvedāñ tak aa ga.e
tujh talak aa jā.eñge jab ham yahāñ tak aa ga.e
zindagī bhar ik sarāb-e-tez-rau ke pīchhe ham
jaate jaate ek sahrā-e-ravāñ tak aa ga.e
ik qadam aa.e na aa.e tū ye terī hai razā
ham ko aanā thā so tere āstāñ tak aa ga.e
jaane kin uryāniyoñ par TuuT kar barseñge ye
aaj chand ash.ār umaD kar phir zabāñ tak aa ga.e
ho gai sair-e-jahan kunj-e-jahan tak aa gae
apne ghar se nikle apne aashiyan tak aa gae
paikar-e-fani se ruh-e-jawedan tak aa gae
tujh talak aa jaenge jab hum yahan tak aa gae
zindagi bhar ek sarab-e-tez-rau ke pichhe hum
jate jate ek sahra-e-rawan tak aa gae
ek qadam aae na aae tu ye teri hai raza
hum ko aana tha so tere aastan tak aa gae
jaane kin uryaniyon par TuT kar barsenge ye
aaj chand ashaar umaD kar phir zaban tak aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.